A Ghazal By Hasrat mohani (Urdu only)
A Ghazal By Hasrat mohani
Tumhare husn ka jalwaa jo aam ho jaye
ye jo bhe dekhe zer-e- daam ho jaye
Jo baynaqaab chale aaein aap mhefil mein
qasm khuda ki wahan qatal-e-aam ho jaye
Tumhari bazm-e-ankhein bhe baat kerti hein
Nazer Nazer se mile aur kalam ho jaye
jo aap zulfein bekharein too shaam ho jaye
hamein bhe jaam mile , apna kaam ho jaye
ye raaz-e-ishq hai, hasrat na koi samjhe ga
nighaa neeche rahe aur salam ho jaye